Fikr-e-ranj-o-rahat Kaisi
fikr-e-ranj-o-rahat kaisi
dozaKH kaisa jannat kaisi
badli un ki aadat kaisi
ulTi apni qismat kaisi
har shai mein hai us ka jalwa
kasrat mein hai wahdat kaisi
aapas mein ai gabru musalman
nahaq nahaq hujjat kaisi
ulfat mein zillat rakkhi hai
izzat kaisi hurmat kaisi
zohd-e-zahid la-hasil hai
begari ko ujrat kaisi
sun kar meri sina-kubi
bole wo ye naubat kaisi
chashm-e-wahdat-e-bin ke aage
aaine ki surat kaisi
mar jaenge hum furqat mein
rah jaegi hasrat kaisi
aalam hai ai mah-ru tujh par
shahron mein hai shohrat kaisi
uTThenge jab wo sohbat se
barham hogi sohbat kaisi
be-KHud ho ja meri surat
ai sufi ye haalat kaisi
duniya ke jhagDon se chhuTe
mar kar pai fursat kaisi
zulfon ke phandon se nikle
Tali sar se aafat kaisi
fasl-e-gul ke aate aate
so jati hai wahshat kaisi
(1034) Peoples Rate This