Dil Hai Ghiza-e-ranj Jigar Hai Ghiza-e-ranj
dil hai ghiza-e-ranj jigar hai ghiza-e-ranj
paida kiya hai hum ko KHuda ne bara-e-ranj
hasil kisi se kuchh nahin hota siwa-e-ranj
duniya mein lai hai hamein qismat bara-e-ranj
aadam se bagh-e-KHuld chhuTa hum se ku-e-yar
wo ibtida-e-ranj hai ye intiha-e-ranj
mumkin nahin hai aae jo bu-e-gul-e-nashat
aise dimagh-e-jaan mein bhari hai hawa-e-ranj
jhiDki de galiyan de sitamgar zalil kar
kafir ho ai sanam jo zara dil mein lae ranj
hum naKHl-e-ah se chaman-e-rozgar mein
bandha kiye hawa paye nashw-o-numa-e-ranj
ai san-e-azal meri miTTi KHarab ki
kya chahiye thi KHana-e-dil mein bina-e-ranj
sab dost apni haal mein hain aap mubtala
kis se kahun main kaun sune majra-e-ranj
hum bar-e-ishq ke mutahammil na ho sake
bas dil pakaD ke baiTh gae wo uThae ranj
hain sikka-ha-e-dagh hazaron bhare hue
qasr-e-dil-e-faqir hai daulat sara-e-ranj
bhuli nahin nasib ke likkhe ki KHubiyan
tahrir lauh-e-dil pe hai sab majra-e-ranj
mumkin nahin mizaj rahe ek haal par
gah aashna-e-aish hain gah aashna-e-ranj
achchhe ye qahqahe nahin aashiq ke haal par
dekho hansi hansi mein kahin ho na jae ranj
hote hain kis libas mein ashaar-e-dardnak
bahr-e-urus fikr hai zeba rida-e-ranj
kya gham jo ku-e-yar mein hota hun paemal
fart-e-KHushi se KHak nahin dil mein jae ranj
kahte hain mere dost mera haal dekh kar
dushman ko bhi KHuda na kare mubtala-e-ranj
sauda-e-ishq mein ye saadat husul hai
baKHt-e-siyah hai saya-e-baal-e-huma-e-ranj
andher sadma-e-shab-e-furqat hai ai 'saba'
aandhi charagh-e-jaan ke liye hai hawa-e-ranj
(1304) Peoples Rate This