Dekh Kar KHush-rang Us Gul-pairahan Ke Hath Panw
dekh kar KHush-rang us gul-pairahan ke hath panw
phul jate hain jawanan-e-chaman ke hath panw
jab na dekhe chaar din us gul-badan ke hath panw
sukh kar kanTa hue ahl-e-chaman ke hath panw
hum wo mai-kash hain jo hota hai hamein ranj-e-KHumar
TuTte hain saqi-e-paiman-shikan ke hath panw
un ke maqtulon ki qabren is qadar khodi gain
thak ke taKHta ho gae har gorkan ke hath panw
aati jati choT bhi sach hi nazar aati nahin
aaj-kal chalte hain kya us tegh-zan ke hath panw
KHaksari ka maza hota jo ai KHusraw tujhe
aab-e-shirin se dhulata kohkan ke hath panw
hathkaDi beDi baDi zoron se pahnai mujhe
ai junun shal ho gae ahl-e-watan ke hath panw
kaT Dala dast-e-shaKH-e-gul ko pa-e-sarw ko
baghban ne dekh kar us gul-badan ke hath panw
tausan-e-mushkin se jab us turk ki tashbih di
joD mein Thahre na aahu-e-KHutan ke hath panw
apne gesu-e-rasa se yar rassi ki tarah
bandhta hai aashiq-e-chah-e-zaqan ke hath panw
naujawanan-e-chaman us gul se tharraate hain yun
jis tarah kanpen kisi pir-e-kuhan ke hath panw
shab ko garm-e-raqs hota hai jo wo aatish-mizaj
shama san jalte hain sare anjuman ke hath panw
hathkaDi beDi jo mujh majnun ki utri baad-e-marg
qabr mein TukDe uDaenge kafan ke hath panw
ho gai KHam Thonk kar dew-e-KHizan ke samne
kya kasile hain jawanan-e-chaman ke hath panw
shahid-e-maqsad tumhein be-wasta mil jaega
ai 'saba' chumo na shaiKH-o-barahman ke hath panw
(1023) Peoples Rate This