Dagh-e-junun Dimagh-e-pareshan Mein Rah Gaya
dagh-e-junun dimagh-e-pareshan mein rah gaya
daman mein KHar chaak gareban mein rah gaya
jab do qadam junun mein mera sath ho gaya
phaila ke panw qais bayaban mein rah gaya
abru-e-yar se jo bahut munfail hua
munh Dal kar hilal gareban mein rah gaya
taqlid ban paDi na tumhaari KHiram ki
taus laDkhaDa ke gulistan mein rah gaya
aai bahaar aur na chhuTa main ai junun
kaisa taDap ke KHana-e-zindan mein rah gaya
tuda qaza ne nawak-e-jallad ka kiya
main Dher ho ke ganj-e-shahidan mein rah gaya
kya hadisa paDa mere yusuf par ai 'saba'
dil gir ke un ki chah-e-zanaKHdan mein rah gaya
(1052) Peoples Rate This