But-parasti Se Na Tinat Meri Zinhaar Phiri
but-parasti se na tinat meri zinhaar phiri
subh sau bar KHaridi gai sau bar phiri
barha qahqahon mein tu ne uDaya hai use
shama roti teri mahfil se hai sau bar phiri
chal basi fasl-e-KHizan mausam-e-gul aa pahuncha
le mubarak ho hawa bulbul-e-gulzar phiri
ek ja bhi nazar aai na asar ki surat
girti paDti na kahan aah-e-dil-e-zar phiri
zulf-e-jaanan ke jo saude mein hua sar-gashta
sae ki tarah mere sath shab-e-tar phiri
bhik mangwai faqiron ki tarah shahon ko
aisi niyyat teri ai charKH-e-sitam-gar phiri
ai 'saba' dekh liya hum ne usi tak sab the
phir gaya sara jahan jab nazar-e-yar phiri
(856) Peoples Rate This