Banda Ab Na-subur Hota Hai
banda ab na-subur hota hai
afw howe qusur hota hai
wo zamin par qadam nahin rakhte
husn ka kya ghurur hota hai
daulat husn ke luTane mein
KHarch kya ai huzur hota hai
surma aankhon mein wo lagate hain
dekhiye kya futur hota hai
hum hain majbur aap hain muKHtar
kahiye kis se qusur hota hai
saya us aaftab-talat ka
dida-e-mah ka nur hota hai
KHak hasil hai us se murdon ko
zar jo sarf-e-qubur hota hai
mai-kashon mein mudam ai zahid
nara-e-ya-ghafur hota hai
wasl ho Taliye na bose par
is se kya ai huzur hota hai
fikr rakhte nahin hain diwane
bais-e-gham shuur hota hai
partaw-e-ruKH se un ka jeb-e-qaba
daman-e-koh-e-tur hota hai
KHub aashiq ka pas karte ho
har ghaDi dur dur hota hai
ek hi nur ka zamane mein
sau tarah se zuhur hota hai
mujh ko nahaq halal karte hai
KHun ye be-qusur hota hai
kashti-e-mai chali to ai saqi
bahr-e-gham se ubur hota hai
ai 'saba' jab bahaar aati hai
hum ko sauda zarur hota hai
(875) Peoples Rate This