Bagh-e-alam Mein Hai Be-rang Bayan-e-waiz
bagh-e-alam mein hai be-rang bayan-e-waiz
surat-e-barg-e-KHizani hai zaban-e-waiz
misr mein bhi na ye firaun ka aalam hoga
dekhe masjid mein koi shauqat-o-shan-e-waiz
ek kanTa sa nikal jae hamare dil se
sansiyon se koi khinche jo zaban-e-waiz
qulqul-e-shisha-e-mai se tere mai-kash saqi
sun rahe hain KHabar-e-raaz-e-nihan-e-waiz
haal malum hua nar-o-jinan ka kyunkar
is qadar to nahin uncha hai makan-e-waiz
nam-e-mai wo hai ki lab par jo kabhi aata hai
munh se bahar nikal aati hai zaban-e-waiz
mai-kade walon se dabne lage masjid wale
daur saqi ka hai guzra wo zaman-e-waiz
main bhi wo hun jo mere aage kabhi munh khole
kaT Dalun abhi danton se zaban-e-waiz
apne rindon ki main hu-haq ka hun sunne wala
ya-ilahi na sunana suKHnan-e-waiz
main pari-zadon ka aashiq hun to wo huron ka
mere saude se hai baDh kar KHafqan-e-waiz
pae KHum baiTh ke nashshe mein wo baaten kije
log samjhen sar-e-mimbar hai bayan-e-waiz
ai 'saba' KHuld mein jaun ki jahannam mein jalun
na suna hai na sununga main bayan-e-waiz
(1116) Peoples Rate This