Bach Kar Kahan Main Unki Nazar Se Nikal Gaya
bach kar kahan main un ki nazar se nikal gaya
ek tir tha ki saf jigar se nikal gaya
KHud raftagi hi chashm-e-haqiqat jo wa hui
darwaza khul gaya to main ghar se nikal gaya
mahw-e-jamal rah gae hum kuchh KHabar nahin
aaya kidhar se yar kidhar se nikal gaya
kaisa hawa hua mere rone ko dekh kar
daman-e-abr dida-e-tar se nikal gaya
rone se hijr-e-yar mein taskin ho gai
dil ka buKHar dida-e-tar se nikal gaya
aaKHir kiya aKHir-e-shab-e-wasl ne mujhe
dam pahli bang-e-murgh-e-sahar se nikal gaya
aahon ne mujh ko aatish-e-gham se najat di
manind-e-dud nar-e-saqar se nikal gaya
dikhlaya na-tawani ne ghar yar ka mujhe
misl-e-nigah rauzan-e-dar se nikal gaya
saqi ki chashm-e-mast ne aise dhuen uDae
shoala sa ek aatish-e-tar se nikal gaya
joban se Dhal chali hain kahan ab laTak ki chaal
wo pech un ke mu-e-kamar se nikal gaya
us gul ke dagh-e-ishq ne aisa kiya gudaz
ghul ghul ke maghz shama ke sar se nikal gaya
mushkil hai ai 'saba' pa karo jabr iKHtiyar
hai KHair dil jo ishq ke shar se nikal gaya
(1106) Peoples Rate This