Ashk-uftada Nazar Aate Hain Sare Dariya
ashk-uftada nazar aate hain sare dariya
sail-e-girya ne ye nazron se utare dariya
dekh len gar meri ashkon ke sharare dariya
KHushk barsat mein hon KHauf ke mare dariya
donon chashmon se meri ashk baha karte hain
mauj-zan rahta hai dariya ke kinare dariya
raghbat is tark ko machhli ke kababon se nahin
aatish-e-shauq se sheKHi na baghaare dariya
kaam ashkon ki rawani se na nikla aaKHir
justuju-e-dur-e-maqsud mein haare dariya
jis ko izzat de use phir na kare be-izzat
kulah-e-sar na hababon ki utare dariya
sath ghairon ke wahan tum to nahane ko gae
roe yan hum gham-e-furqat mein tumhaare dariya
hasil-e-gauhar-e-maqsud hai rone se mujhe
dida-e-tar ke badaulat hai ijare dariya
aankh se mujh ko bulata nahin wo qulzum-e-husn
chashm-e-girdab se karta hai ishaare dariya
bar-e-ulfat ko jo le sar pe to nikle na kasak
ta-qayamat kamar-e-koh jo dhaare dariya
jab main rota hun nazar aata hai pani pani
dam-e-girya meri aankhon ke hain tare dariya
furqat-e-yar mein kya sair karen dariya ki
ai 'saba' dida-e-giryan hain hamare dariya
(1036) Peoples Rate This