Ai Sanam Sab Hain Tere Hathon Se Nalan Aaj-kal
ai sanam sab hain tere hathon se nalan aaj-kal
surat-e-naqus hain gabr-o-musalman aaj-kal
bagh mein kahte hain wo lale ka taKHta dekh kar
gul khilati hai ajab KHak-e-shahidan aaj-kal
harf-e-matlab apne diwane ka bhi sun ja zara
ho tujhe chhuTTi jo ai tifl-e-dabistan aaj-kal
mausam-e-josh-e-junun hai jama-e-gul ki tarah
KHud-ba-KHud hote hain TukDe jeb-o-dastan aaj-kal
peshtar KHat se maza tha husn ka ai naunihaal
ho gaya daghi tera seb-e-zanaKHdan aaj-kal
yaad karte hain kisi ke mushaf-e-ruKHsar ko
taq-e-nisyan par rakha hai hum ne quran aaj-kal
zulfen chhoDi hain jo us sayyaad-e-gul-ruKHsar ne
dam mein phanste hain murghan-e-ghulistan aaj-kal
hae wo KHush-qad pae-gul-gasht ab aata nahin
naKHl-e-matam hai har ek sarw-e-gulistan aaj-kal
zoaf ke hathon hue fasl-e-junun mein tang hum
ho gaya phansi hamein apna gareban aaj-kal
in dinon mein zur hota hai hamein josh-e-junun
bhagta hai chhoD kar majnun bayaban aaj-kal
jo hasin hai gard hai is baadshah-e-husn ki
rahta hai pariyon ki jhumar mein sulaiman aaj-kal
ainDate hain kaj-adai karte hain ushshaq se
bal ki lete hain bahut gesu-e-jaanan aaj-kal
gulshan-e-alam meri nazron mein bagh-e-sabz hai
dekhta hun sabza-e-gor-e-ghareban aaj-kal
samna har roz ka hai us but-e-saffak se
ai 'saba' allah hai apna nigahban aaj-kal
(1242) Peoples Rate This