Ai Saba Jazb Pe Jis Dam Dil-e-nashad Aaya
ai saba jazb pe jis dam dil-e-nashad aaya
apni aaghosh mein uD kar wo pari-zad aaya
mahw-e-abru ke liye KHanjar-e-faulad aaya
zabh karna bhi na tujh ko mere jallad aaya
sar-kashi par jo wo sarw-e-sitam-ijad aaya
pas aare ke ghisaTta hua shamshad aaya
chashm-e-musa hama-tan ban gaya main hairat se
dekha ek but ka wo aalam ki KHuda yaad aaya
dam-e-aghaz-e-junun tauq gulu-gir hua
ghul machane bhi na pae thi ki haddad aaya
kaT gae mare KHajalat ke jawanan-e-chaman
baDh par qad jo tera o sitam-ijad aaya
aashiqon se na raha koi zamana KHali
kabhi wamiq kabhi majnun kabhi farhad aaya
dil mein ek dard uTha aankhon mein aansu bhar aae
baiThe baiThe hamein kya jaaniye kya yaad aaya
roe ghurbat mein hujum-e-gul-e-sahrai par
chaman-e-majma-e-yaran-e-watan yaad aaya
mizha-e-yar ke nashtar ke hue saudai
KHun-e-fasid ki tarah josh mein fassad aaya
ban gaya KHal-e-jabin kaukab-e-baKHt-e-yusuf
kis taraqqi pe tera husn-e-KHuda-dad aaya
aariz-e-saf ka khincha na gaya jab naqsha
aaina le ke tere samne bahzad aaya
bait-e-hasti ke 'saba' ho gae mani raushan
KHwaja-'atish' sa zamane mein jo ustad aaya
(989) Peoples Rate This