Adu-e-jaan But-e-be-bak Nikla
adu-e-jaan but-e-be-bak nikla
baDa qatil baDa saffak nikla
sanobar qad-kashi mein KHak nikla
wo sarw-e-qad chaman ki nak nikla
farishton ko kiya mat aadmi ne
qayamat ka ye musht-e-KHak nikla
uDa di qaid-e-mazhab dil se hum ne
qafas se tair-e-idrak nikla
mohabbat se khula haal-e-zamana
ye dil lauh-e-tilism-e-KHak nikla
nikal aai falak ki dur se ruh
bhanwar se KHub ye tairak nikla
wo pazhmurda tha fasl-e-gul jo aai
chaman se surat-e-KHashak nikla
shikar-afgan main dil ko jaanta tha
ghazal-e-basta-e-fitrak nikla
mare hum aarzu un ki bar aae
hamara hausla kya KHak nikla
junun mein bagh-e-alam ko jo dekha
ajab sahra-e-wahshat-nak nikla
nikalti hai badan se jis tarah ruh
tere ghar se main yun ghamnak nikla
tumhaare qad se kuchh kam sarw Thahra
sanobar to bahut kawak nikla
hamari sada-lauhi kaam aai
hisab-e-roz-e-mahshar pak nikla
tarara phirte hi pahuncha adam mein
samand-e-umr kya chaalak nikla
bhare laDkon ne daman pattharon se
jahan tera gareban chaak nikla
miTaya daur-e-saqi mohtasib ne
adu jamshed ka zahhak nikla
'saba' hum hashr ko mujrim jo nikle
shafaat ko shah-e-laulak nikla
(1079) Peoples Rate This