Aaya Jo Mausam-e-gul To Ye Hisab Hoga
aaya jo mausam-e-gul to ye hisab hoga
hum honge yar hoga jam-e-sharab hoga
nalon se apni ek din wo inqalab hoga
dam bhar mein aasman ka aalam KHarab hoga
dikhlaenge tujhe hum dagh-e-jigar ka aalam
munh is taraf kabhi to ai aaftab hoga
ai zahid-e-riyai dekhi namaz teri
niyyat agar yahi hai to kya sawab hoga
wo radd-e-KHalq hun main gar Dub kar marunga
murda mera wabaal-e-dosh-e-habab hoga
wo mast hain idhar to rakhte nahin hain saghar
maghrib se han numayan jab aaftab hoga
ai zud-ranj tujh par jo log jaan denge
rah rah ke turbaton mein un par azab hoga
KHun-e-siyaush ek din dikhlaega KHarabi
is zulm ka ewaz ai afrasiyab hoga
tu naqd-e-dil ko le kar mukra tu hi Thahar ja
roz-e-hisab mere tere hisab hoga
allah re un ka ghussa itna nahin samajhte
kyunkar koi jiyega jab yun itab hoga
dagh-e-jigar ko le kar jaenge hum jo ai dil
jannat mein huriyon ko rahna azab hoga
kya sair hogi wo mah laya agar harara
chehra jo tamtamaya to aaftab hoga
wo rind hun main zahid aane de hashr ka din
us rose bhi ye banda mast-e-sharab hoga
barsat hai bahaaren saqi-e-barq-wash ko
chhaya hua chaman par kaisa sahab hoga
ai mehr-wash to kyunkar parde mein chhup sakega
abr-e-tunak ki surat munh par naqab hoga
ai charKH-e-pir ab to ye haal hai sitam ka
kya hoga jin dinon mein tera shabab hoga
ai mughbachon tumhaara bayan qadam main lunga
zahid ka gar amama rehn-e-sharab hoga
dhoega apne talwe wo but jo sang-pasi
shirin ka be-sutun par naqsha KHarab hoga
zulfon ka ishq kyunkar un se bayan karunga
haal-e-dil-e-pareshan gunge ka KHwab hoga
sar-kushtagi mein mera kya sath de sakega
ai aasman Thahar ja na-haq KHarab hoga
furqat mein zabt-e-nala hum se na ho sakega
qabu mein dil na hoga jab iztirab hoga
likkhe ki kya KHabar thi ye kaun jaanta tha
laila ke sath paDh kar majnun KHarab hoga
iman tum 'saba' ka us waqt dekh lena
aankhon mein dam labon par ya bu-turab hoga
(1414) Peoples Rate This