Aap Apni Bewafai Dekhiye
aap apni bewafai dekhiye
hum se aur aisi burai dekhiye
baat phir hum se banai dekhiye
phir wahi taqrir aai dekhiye
aaina us but ko dikhla kar kaha
aur surat hath aai dekhiye
arsh ki zanjir par turra hua
nala-e-dil ki rasai dekhiye
hum asiran-e-tilism-e-KHak hain
kya hua waqt-e-rihai dekhiye
mar Dala munh chhupa kar aap ne
maut kis parde mein aai dekhiye
aamad aamad mausam-e-gul ki hue
phir tabiat gud-gudai dekhiye
dagh-e-dil tara hai chashm-e-mehr ka
ishq ki jalwa-numai dekhiye
meri jaanib yun nazar karna na tha
aap ne bijli girai dekhiye
phenkiye hathon se phulon ki chhaDi
meri gul-KHurda kalai dekhiye
chashm-poshi is qadar achchhi nahin
ab to jaan aankhon mein aai dekhiye
ek din ro ro ke tufan laenge
is qadar na-ashnai dekhiye
wah re surma lagana aap ka
shaKH-e-nargis hai salai dekhiye
saf hai aaina-e-askandari
is meri dil ki safai dekhiye
der hoti hai hamari qatl mein
ye nahin achchhi jhukai dekhiye
laiye pilwaiye jam-e-sharab
dekhiye badle wo aai dekhiye
mar gae lekin na raaz-e-dil khula
aah bhi lab tak na aai dekhiye
wo na aana tha na aae ai 'saba'
rafta rafta maut aai dekhiye
(956) Peoples Rate This