Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_783d73a45daebd1ad1979d65be596702, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Pyar Ka Yun Dastur Nibhana PaDta Hai - Waliullah Wali Poetry In English - Darsaal

Pyar Ka Yun Dastur Nibhana PaDta Hai

pyar ka yun dastur nibhana paDta hai

qatil ko sine se lagana paDta hai

duniya ko pur-nur banane ki KHatir

apne ghar ko aag lagana paDta hai

but-KHane yunhi tamir nahin hote

patthar ko bhagwan banana paDta hai

duniya-dari ki KHatir is duniya ka

jaane kya kya naz uThana paDta hai

apne qatil ki masum nigahon se

dil ka har ek zaKHm chhupana paDta hai

aisa bhi waqt aata hai sardari par

angaron ko phul banana paDta hai

aisa bhi hota hai hijr ki raaton mein

diwaron ko haal sunana paDta hai

jin galiyon mein qatl hue arman 'wali'

un galiyon mein aana jaana paDta hai

(2406) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pyar Ka Yun Dastur Nibhana PaDta Hai In English By Famous Poet Waliullah Wali. Pyar Ka Yun Dastur Nibhana PaDta Hai is written by Waliullah Wali. Read famous Poem Pyar Ka Yun Dastur Nibhana PaDta Hai for youth and Student by Waliullah Wali. Free Download Pyar Ka Yun Dastur Nibhana PaDta Hai in PDF.