Imarat Ho Ki Ghurbat Bolti Hai
imarat ho ki ghurbat bolti hai
ba-har-surat sharafat bolti hai
wahan bazar ka hota hai manzar
jahan ghar ki zarurat bolti hai
zaban KHamosh hi rahti hai lekin
mere chehre ki rangat bolti hai
ba-zahir guftugu hai muKHlisana
magar dil mein kudurat bolti hai
wo patthar mom ban jae na kaise
ki sar chaDh ke mohabbat bolti hai
zaban-e-ilm par tale paDe hain
ba-zoam-e-KHud jahaalat bolti hai
zabanen kaT di jati hain phir bhi
rag-o-pai se mohabbat bolti hai
'wali' ki zindagi aaina-surat
sadaqat hi sadaqat bolti hai
(1741) Peoples Rate This