Baadal Aur Tare
KHatm hua din suraj Duba
sham hui aur ubhre tare
jagmag jagmag karte aae
nur ke TukDe pyare pyare
dur kahin se ThanDe ThanDe
tez hawa ke jhonke aae
kandhon par apne wo uTha kar
chhoTe chhoTe baadal lae
un ko dekh ke aur bhi barsa
nur masarrat ka taron se
koi chhupa aur koi nikla
baadal ke in ambaron se
khel rahe hon jaise bachche
aankh-micholi gali gali mein
ya shabnam ke qatre chamken
ojhal ho kar gali gali mein
(1443) Peoples Rate This