Surayya Ki GuDiya
suno ek maze ki kahani suno
kahani hamari zabani suno
surayya ki guDiya thi chhoTi bahut
na dubli bahut aur na moTi bahut
jo dekho to nannhi si guDiya thi wo
magar ek shararat ki puDiya thi wo
jo soti to din raat soti thi wo
jo roti to din raat roti thi wo
na ammi ke sath aur na bhayya ke sath
wo har waqt rahti surayya ke sath
surayya ne ek din ye us se kaha
meri nannhi guDiya yahan baiTh ja
bulaya hai ammi ne aati hun main
khaToli mein tujh ko sulati hun main
wo nadan guDiya KHafa ho gai
wo roi wo chillai aur so gai
achanak wahan ek pari aa gai
khuli aankh guDiya ki ghabra gai
to boli pari muskuraati hui
sunahri paron ko hilati hui
idhar aao tum mujh se baaten karo
main nazuk pari hun na mujh se Daro
wo guDiya magar aur bhi Dar gai
lagi chiKHne hae main mar gai
miri pyari aapa bacha lo mujhe
kisi koThari mein chhupa lo mujhe
surayya ne aa kar uThaya use
uTha kar gale se lagaya use
gale se lagate hi chup ho gai
wo chup ho gai aur phir so gai
surayya ko dekha pari uD gai
jidhar se thi aai udhar muD gai
(4834) Peoples Rate This