Raja Rani Ki Kahani
aao bachcho suno kahani
ek tha raja ek thi rani
donon ek din shahr mein aae
shahr se ek ek guDiya lae
raja ki guDiya thi dubli
rani ki guDiya thi moTi
raja ki guDiya thi lambi
rani ki guDiya thi chhoTi
raja bola meri guDiya
meri guDiya baDi siyani
guDiyaon mein jaise rani
rani boli meri guDiya
meri guDiya ke kya kahne
achchhe achchhe gahne pahne
raja bola meri guDiya
meri guDiya bin bajae
miThe miThe gane gae
rani boli meri guDiya
meri guDiya nach dikhae
uchhle kude shor machae
donon mein bas hui laDai
donon ne ki hatha-pai
rani boli sun meri baat
meri guDiya ke do hat
ek se khae dal chapati
ek se khae sag aur pat
raja bola bas chup kar
meri guDiya ke do sar
jaise chiDiya ke do par
ek idhar aur ek udhar
rani boli hun hun hun
meri guDiya ke do mun
ek se khae garm pakauDe
ek se bole sun sun sun
itne mein ek baDhiya-mai
dauDi dauDi andar aai
aate hi ek DanT pilai
kya hai jhagDa kya hai laDai
ye bhi guDiya wo bhi guDiya
ye bhi siyani wo bhi siyani
tu hai raja tu hai rani
KHatm karo ye ram-kahani
(5741) Peoples Rate This