Zabt Ki Had Se Bhi Jis Waqt Guzar Jata Hai
zabt ki had se bhi jis waqt guzar jata hai
dard honTon pe hansi ban ke bikhar jata hai
rang bhar jata hai phir ishq ke afsane mein
ashk ban ban ke agar KHun-e-jigar jata hai
aaj tak aalam-e-wahshat mein piye jate hain
kitni muddat mein ghaTaon ka asar jata hai
jam pi lete hain sab dekhna hai zarf magar
kaun kis waqt uTha aur kidhar jata hai
daur-e-wahshat mein mohabbat mein junun mein insan
jo na mumkin ho kisi taur wo kar jata hai
apne beganon se kuchh besh the aazari mein
baat rah jati hai aur waqt guzar jata hai
kitna be-KHauf ho be-dard na kyun ho aaKHir
aaina dekh ke aamal se Dar jata hai
waqt kaT jae agar aalam-e-tanhai mein
dil mein ehsas-e-mulaqat hi mar jata hai
wo jo duniya ki haqiqat ko samajh le insan
apni manzil ki taraf sina-sipar jata hai
aalam-e-naz mein kuchh bhi to nahin tere siwa
ek tasawwur hai jo ta-hadd-e-nazar jata hai
sainkaDon dagh chamakte hain tah-e-qalb ai 'shauq'
kitni gahrai mein uf aks utar jata hai
(4163) Peoples Rate This