Ye Kya Kaha Mujhe O Bad-zaban Bahut Achchha
ye kya kaha mujhe o bad-zaban bahut achchha
suna li aur bhi do galiyan bahut achchha
tumhein to aur bhi ashKHas pyar karte hain
hamein ye jaur-o-jafa mehrban bahut achchha
kisi pe yun nahin paDti nigah-e-KHun-a-sham
hamin hain tir-e-sitam ke nishan bahut achchha
na ho do-chaar na bolo na iKHtilat karo
bahut baja bahut insab miyan bahut achchha
jo main bura to bura aur sab to achchhe hain
milo jahan se jaan-e-jahan bahut achchha
bura bhala hamein kahne se faeda kya hai
chaman se jate hain ai baghban bahut achchha
hamare rahne se tujh ko jo aag lagti hai
jalae dete hain hum aashiyan bahut achchha
kabhi jo rote hain jhunjhla ke yar kahta hai
main sun raha hun karo tum fughan bahut achchha
KHafa na ho na karunga baka bahut behtar
na honge ab kabhi aansu rawan bahut achchha
jo zindagi hai to jita rahunga furqat mein
sad haariye meri aaram-e-jaan bahut achchha
nisar la ki sar aise tumhaari qadmon par
karenge aap mera imtihan bahut achchha
KHuda ne nur ke sanche mein tujh ko Dhaala hai
hazar mein hai tu ai naujawan bahut achchha
mere nigah mein tu hur se kahin behtar hai
maqam-e-KHuld se tera makan bahut achchha
bahut pasand hai mujh ko ye bol-chaal a 'bahr'
qasam KHuda ki ye tarz-e-bayan bahut achchha
(1069) Peoples Rate This