Ye Dil Hai To Aafat Mein PaDte Rahenge
ye dil hai to aafat mein paDte rahenge
yun hi eDiyan hum ragaDte rahenge
mohabbat hai bad-nam kyun kar banegi
wo hum se hamesha bigaDte rahenge
agar ishq rakhta hai to aql kho de
ye donon rahenge to laDte rahenge
bure din buri saaten ishq mein hain
sab ahbab hum se bichhaDte rahenge
wo sar kaT Dalen hamara to kya gham
gharaz aise hi panw paDte rahenge
kahin aashiqon ka Thikana nahin hai
zamane mein basti ujaDte rahenge
junun ne tamasha banaya hai hum ko
darichon ke parde udhaDte rahenge
kabhi zulf se ho sakenge na sar-bar
isi pech se hum pichhaDte rahenge
na KHat bhejna hum se mauquf hoga
kabutar ki shah par ukhaDte rahenge
jo kuchh hum ne chaha unhon ne na chaha
hum is masale mein jhagaDte rahenge
gham-o-dard zewar hai hum aashiqon ka
nagin dagh ke dil mein jaDte rahenge
qadam mai-kade se na niklega bahar
yahin nashshe mein girte-paDte rahenge
judai mein ai 'bahr' marna bhala hai
jiyenge to KHiffat se gaDte rahenge
(1024) Peoples Rate This