Wo Rashk-e-mehr-o-qamar Ghat Par Nahin Aata
wo rashk-e-mehr-o-qamar ghat par nahin aata
kabhi andhere-ujale nazar nahin aata
ye kah do kucha-e-jaanan ke jaane walon se
udhar jo koi gaya phir idhar nahin aata
tilai-rang ye kya kya chale hain talwaren
kisi ke qabze mein wo kunj-e-zar nahin aata
wo na-tawan hun ki sunta nahin koi meri
wo zar hun ki kisi ko nazar nahin aata
meri taraf se ye ghaflat hai ham-safiron ko
chaman se uD ke kabhi ek par nahin aata
nahin nasib mein apni jo daulat-e-bedar
to KHwab mein bhi mera swayamwar nahin aata
azab-e-naza hi qasid ka intizar mujhe
ajal hi aae agar nama-bar nahin aata
wo kaun log hain jin par huma hai saya-fagan
yahan to bum bhi baala-e-sar nahin aata
yahan wasila-e-rozi faqat hai yaad-e-KHuda
ki hech-kara hain koi hunar nahin aata
bashar ko chahne anjam-e-kar ki kuchh fikr
jahan mein koi bar-e-digar nahin aata
sanam ko hath se jaane na dijiye ai 'bahr'
nikal ke musht-e-sadaf se guhar nahin aata
(923) Peoples Rate This