Wasl Mein Zikr Ghair Ka Na Karo
wasl mein zikr ghair ka na karo
KHush kiya hai to phir KHafa na karo
zulfon par mujh ko shefta na karo
in balaon mein mubtala na karo
meri itni to baat mano bhala
baat aghyar se kiya na karo
milne dunga na ghair se tum ko
karo mujh se milap ya na karo
mar bhi jaun kahin ye rog miTe
ai tabibon meri dawa na karo
munh chhupana hi hai agar manzur
mere aankhon-tale phira na karo
ai gul in dinon rooge
khilkhila kar bahut hansa na karo
bosa lene do kuchh to ho taqsir
hadaf-e-tir be-KHata na karo
jaan sadqe karun jo qadr karo
dil tumhein dun agar dagha na karo
kabhi fariyaadtan suno meri
kaun kahta hai tum jafa na karo
ghair par kyun nigah karte ho
mujh ko is tir ka nishana karo
do-ghaDi ke liye hum aae hain
talKH baaton se be-maza na karo
ek purze pe likh ke ye do-harf
dosto yar ko rawana karo
jald aao ki dam nikalta hai
mujh ko piTo agar bahana karo
'bahr' shakir raho muqaddar par
kas-o-na-kas se iltija na karo
(1042) Peoples Rate This