Waqt-e-aKHir Hamein Didar Dikhaya Na Gaya
waqt-e-aKHir hamein didar dikhaya na gaya
hum to duniya se gae aap se aaya na gaya
raaz-poshi se kabhi hath uThaya na gaya
nabz dikhlae maraz apna bataya na gaya
phuT nikli na ruki sine ki andar KHushbu
mushk tha dagh-e-mohabbat ki chhupaya na gaya
mera dil kis ne liya nam bataun kis ka
main hun ya aap hain ghar mein koi aaya na gaya
hath uTha baiThe hum is zindagi-e-shirin se
gham judai ka ye tha talKH ki khaya na gaya
jab kiya qasd ki ehsan kisi ka lun main
aabru ghaTne lagi hath baDhaya na gaya
aaj wo haal hai apna jo kisi ne puchha
ho gae qufl-e-dahan-sharm bataya na gaya
ranj puchha jo mohabbat mein to rahat samjhe
dukh uThaya kabhi dil us se uThaya na gaya
kuchh na puchho lab-e-shirin ki halawat hum se
ye wo halwa hai kabhi banT ke khaya na gaya
haif aankhon ne bhi dekhi na meri tishna-labi
munh mein pani mizha-e-tursi chuwaya na gaya
na-tawani ka bura ho hum udhar ko jo chale
tiwr aa aa gae gir gir paDe jaya na gaya
maghz chaTa kabhi andoz-o-nasihat wale
gham hamara kisi gham-KHwar se khaya na gaya
dost kab dost ka hota hai muKHill-e-rahat
so gae panw to hathon se jagaya na gaya
kab harara dil-e-betab ka rone se miTa
shoala-e-barq kabhi munh se bujhaya na gaya
aamad-e-yar ki kya kya na suni garm KHabar
umr-bhar rasta dekha koi aaya na gaya
jis ke juya hue hum DhunDh nikala us ko
aql gham hai ki mizaj aap ka paya na gaya
us ke kuche se zaifi mein bhi uTThe na qadam
sar pe dhup aa gai diwar ka saya na gaya
qata jab se hui ummid-e-visal-e-jaanan
is tarah baiTh gaya dil ki uThaya na gaya
jagna hi meri taqdir mein kya likkha tha
shab-e-furqat mein ajal se bhi sulaya na gaya
qasd tha 'bahr' ka but-KHane se kabe ki taraf
la-ubaali hai KHuda jaane gaya ya na gaya
(1126) Peoples Rate This