Wafa Mein Barabar Jise Tol Lenge
wafa mein barabar jise tol lenge
use saltanat bech kar mol lenge
ijazat agar sar paTakne ki hogi
muqaffal dar-e-yar hum khol lenge
tabibo na baKHshe ki sehat ThanD aae
na jab tak ki zahr is mein hum ghol lenge
kisi din jo palTa muqaddar hamara
bike jis ke hathon use mol lenge
gulon se na hogi jo uqda-kushai
girah dil ke kanTe se hum khol lenge
hamein bagh jaane se ye muddaa hai
zara bulbul-o-gul se hans bol lenge
rihai na denge wo qaid-e-sitam se
na jab tak meri jaan ko ol lenge
badan kyun chhupate ho zewar pahan kar
jawahar ke ikke na hum khol lenge
abhi hum se aur un se sohbat nai hai
jo munh lag chalenge to hans-bol lenge
gham-e-yar bhi abr-e-naisan hai ai 'bahr'
jo Tapkenge aansu guhar rol lenge
(1013) Peoples Rate This