Teri Har Ek Baat Hai Nashtar Na ChheD
teri har ek baat hai nashtar na chheD
pakka phoDa hun main ai dilbar na chheD
main agar roya to kya hath aaega
ashk ke qatre nahin gauhar na chheD
munh se kah baiThenge jo ho jaega
hum saDe saudaiyon se Dar na chheD
tere qadmon se laga hun rahm kar
Thokaron se o but-e-KHud-sar na chheD
shisha-e-dil chur ho jaega yar
hai kalam-e-saKHt bhi patthar na chheD
KHauf kar hum dil-jalon ki aah se
chheDna hum ko nahin behtar na chheD
bhaD ka chhatta hai dil-e-suraKH-dar
us ki aahen taish hain dilbar na chheD
dast-e-nazuk ko na pahunche koi ranj
jhaD kanTon ka hun main laghar na chheD
be-maza baaton se dil ukta gaya
chheDe se ab dam hai honTon par na chheD
bu-e-KHun aati hai is taqrir se
zikr ghairon ka mere munh par na chheD
we ki roega hansi achchhi nahin
chheD mein kuchh ho na jae shar na chheD
teri aahen yar ko na-saz hain
saz apna ai dil-e-muztar na chheD
hashr barpa kar ke leTa hun abhi
sone de o fitna-e-mahshar na chheD
kah wo mashshata se afi hai wo zulf
us ke kaTe ka nahin mantar na chheD
roega DaDhi ko DaDhen mar kar
mohtasib rindon ko munh chaDh kar na chheD
KHush na hoga koi sota chaunk kar
'bahr' tu ghafil ko samjha kar na chheD
(924) Peoples Rate This