Tare Ginte Raat KaTti Hi Nahin Aati Hai Nind
tare ginte raat kaTti hi nahin aati hai nind
dil ko taDpata hai hijr aankhon ko tarsati hai nind
ghar mein aankhon ke qadam rakhne nahin pati hai nind
donon palkon ke tamanche raat-bhar khati hai nind
farsh-e-rahat par mujhe jis waqt yaad aata hai yar
murgh-e-dil aisa phaDakta hai ki uD jati hai nind
kaun hai rahat-rasan apna shab-e-andoh mein
maut bhi aankhen churaati hai jo sharmati hai nind
soun kya aankhon ki Dhele ho gai hain sang-e-rah
aa ke tere KHwab-gah mein Thokaren khati hai nind
ain rahat hai mujhe KHidmat-guzari yar ke
talwe aankhon se jo sahlata hun aa jati hai nind
din nikal aata hai uThne ko nahin ji chahta
sath jab sota hai wo kya panw phailati hai nind
KHwahish-e-didar aankhon mein bhari hai soun kya
putliyon mein apni ja til-bhar nahin pati hai nind
murgh-e-bismil aashiq-e-mahjur dono ek hain
us ko phaDkati hai marg aur is ko taDpati hai nind
kaise takiye kaise toshak kaisa hota hai palang
main wo ghafil hun mere ghar aa ke pachhtati hai nind
bhul jata hun main ghaflat mein KHayal-e-yar ke
badle rahat ki aziyyat mujh ko pahunchati hai nind
bagh-e-jannat ko yunhi KHwab-e-adam dikhlaega
jis tarah ku-e-sanam mujh ko dikha lati hai nind
jab thake us ki sawari dauD kar yun soe hum
jaise saudagar ko ghoDe bech kar aati hai nind
sote sote jab pukar uThta hun apne yar ko
marqadon ke sone walon ki uchaT jati hai nind
yar-e-gul-andam ka zanu kahan ye sar kahan
'bahr' main sota hun mujh ko KHwab dikhlati hai nind
(847) Peoples Rate This