Shor Hai Us Sabza-e-ruKHsar Ka
shor hai us sabza-e-ruKHsar ka
aaj tuti bolta hai yar ka
kis ada se hath rakkha qabze par
paD gaya putli mein dam talwar ka
ashk-e-be-tasir se hun aab aab
uqda hun main aansuon ke tar ka
bujh gaya mera charagh-e-zindagi
dekh kar wo qumquma ruKHsar ka
kis maraz ki hai dawa unnab-e-lab
KHatt-e-ruKH nusKHa hai kis bimar ka
ab ki aisi haar hai fasl-e-bahaar
gul hai but-KHala zaban-e-KHar ka
abru-e-ghilman hai wo mehrab-e-dar
zulf-e-hura saya hai diwar ka
lene wale le gae hosh-o-hawas
bik gaya sauda mere bazar ka
jab main nikla KHalq ne ghera mujhe
mera sauda qarz hai bazar ka
juu-e-jannat hai chehre sayyaad ki
meri gardan par hai haq gulzar ka
aab-kari ki ho KHidmat 'bahr' ko
na-KHuda hai kashti-e-mai-KHwar ka
(871) Peoples Rate This