Sarw Mein Rang Hai Kuchh Kuchh Teri Zebai Ka
sarw mein rang hai kuchh kuchh teri zebai ka
jama-e-gul mein hai chhapa teri ranai ka
panw se raaz khula baadiya-paimai ka
jo phaphola tha DhinDhora hua ruswai ka
sath aaya koi meri na koi jaega sath
morid-e-lutf azal se hun main tanhai ka
zulf ki ek hi jhaTke mein kaleja phaDka
bahut ayyub ko dawa tha shakebai ka
chaar din aur jawani ke guzar jaane do
haal puchhenge jawanon se tawanai ka
josh mein koi nahin jama-dari ka mane
hathkaDi hath pakaDti nahin saudai ka
haal qabil ka habil se puchhe koi
wo zamana hai ki bhai hai adu bhai ka
lashkar-e-gham ki chaDhai hai KHabar-dar ai dil
morcha TuTne pai na shakebai ka
kyun na palken hon jafa-kar jo aafat hon bhawen
bal hai tiron ko kamanon ki tawanai ka
koi sajda teri dargah ki qabil na hua
le chala dagh jabin par main jabin-jai ka
uf nahin karte hain ushshaq sitam sahte hain
kya hi dilbar ko saliqa hai dil-arai ka
yar ki husn-e-jawani ka main diwana hun
KHat-e-ruKHsar hai mahzar meri ruswai ka
misl-e-nai sine mein paD jaenge chhed ai bulbul
na uDa tarz mere zamzama-pairai ka
aks aaine mein surat ka pata deta hai
khul gaya haal-e-dui se teri yaktai ka
apne hasti ko samajhta rahe barbaad insan
chaar unsur nahin jhonka hai ye chaupai ka
barq girya hai shab-o-roz buton ke gham mein
'bahr' tera hai janam mardum-e-dariyai ka
(964) Peoples Rate This