Qadr-dan Koi Na Asfal Hai Na Aala Apna
qadr-dan koi na asfal hai na aala apna
na zamin par na falak par hai Thikana apna
dast-e-shafqat se diya aap ne chhalla apna
hath bhar baDh gaya sine mein kaleja apna
aae masti ke din ayyam-e-bahaari aae
sher ki tarah laga gunjne sahra apna
na bhara jam na saqi ne kabhi yaad kiya
taq-e-nisyan pe dhara rahta hai mina apna
dekhte bhi wo nahin aankh uTha kar hum ko
sad hota nahin sarkar mein chehra apna
kis ke hathon hadaf-e-tir-e-bala hum na hue
dil hai manind-e-kaman sab se kashida apna
dil-jale dud-e-pareshan ki tarah hain barbaad
hum kahin Thahren to batlaen Thikana apna
kaun mushtaq hai hum dagh dikhaen kis ko
dekhen KHud surat-e-taus tamasha apna
sharm bande ki tere hath hai ai rabb-e-karim
na khule KHak ke parde mein bhi parda apna
hum ko jo ranj pahunchte hain wo kis se kahiye
hum ko mehman samajhti nahin duniya apna
zindagi chahiye jangal mein bhi kuchh KHauf nahin
ai junun sher ka aaKHir kabhi ghar tha apna
turfa KHushki-o-tari ki hai hamein sair ai 'bahr'
dasht hai apna ghubar ashk hai dariya apna
(899) Peoples Rate This