Phal Aate Hain Phul TuTte Hain
phal aate hain phul TuTte hain
KHurdon se buzurg chhuTte hain
khulti nahin gul ki bad-mizaji
ghunche nahin munh se phuTte hain
karte hain yahan hasin taraj
nabbash lahad mein luTte hain
hota hai firaq jaan-o-tan mein
buron ke milap chhuTte hain
ek but se moamla darpesh
patthar se nasib phuTte hain
aaseb hain gesuwan-e-mashuq
kab hum se lipaT ke chhuTte hain
dil le ke wo jaan ke hain KHwahan
har pahar ke mujhi ko luTte hain
har-waqt hai koft apne dil ko
rah rah kar sina kuTte hain
KHat paDhta hai mera kya kahun kaun
aghyar ki did se phuTte hain
rone-dhone se faeda 'bahr'
kab sine ke dagh chhuTte hain
(1076) Peoples Rate This