Nahin Hone Ka Ye KHun-e-jigar Band
nahin hone ka ye KHun-e-jigar band
na bandhi aastin aankhon pe tar band
na puchho bebasi apna hai wo haal
asir-e-rishta-bar-pa murgh-e-par band
juda hota nahin pahlu se dam-bhar
ye dagh-e-dil hai ya koi jigar-band
kahin aisa na ho wo aa ke phir jae
kisi shab band hon aankhen na dar band
yahi qasid pata hai us ke ghar ka
udhar ja jis taraf hai rahguzar band
ye chausar ishq-bazi ki hai ai dil
na chalna chaal wo jis se ho ghar band
ijazat ek taDap ki de jo sayyaad
qafas ko le uDen hum murgh-e-par-band
ye haal-e-na-tawani hai ki aankhen
khulin jo ek dam to dopahar band
nahin ye putliyan o chashm-e-fattan
tere ghar mein hain do fitne nazar-band
main ghabraata hun mahram se tumhaari
khule dil ki girah kholo agar band
dua ye mangta hun main shab-e-wasl
qayamat tak rahi bab-e-sahar band
KHuda jaane kahan hun aur kya hun
khule ahwal kya jab ho KHabar band
jo hath aaen use ye dana-e-ashk
rahi musht-e-sadaf misl-e-guhar-band
likhega haal-e-dil ai 'bahr' kab tak
bas ab waifar laga maktub kar band
(971) Peoples Rate This