Nafs-e-sarkash Ko Qatl Kar Ai Dil
nafs-e-sarkash ko qatl kar ai dil
mustaid ho jihad par ai dil
na phalegi tijarat-e-duniya
hai yahan nafa mein zarar ai dil
tere kirdar par hain shahid-e-haal
KHushk-lab aur chashm-e-tar ai dil
na ro ulfat na hath se jae
khel ja apni jaan par ai dil
chahiye be-mahal na Tapke ashk
abruon par rahe nazar ai dil
be-KHudi mein nikal chala hai kidhar
bhul jaana na apna ghar ai dil
ku-e-jaanan hai maqtal-e-ushshaq
le chala hai mujhe kidhar ai dil
jaan jaani hai tujh ko hosh nahin
tu bhi kitna hai be-KHabar ai dil
ishq-bazi hai aabru-rezi
apne fealon se darguzar ai dil
kyun nikal kar zalil hoti hai
teri fariyaad-e-be-asar ai dil
dhyan aaThon-pahar usi ka hai
kabhi apni bhi li KHabar ai dil
ishq ke marke mein mar qadam
fath hai tere nam par ai dil
ashk ho kar baha ki KHun hua
kya hui haalat-e-jigar ai dil
gham-e-alam hai tere hisse mein
tu bhi kya hai nasib-war ai dil
tu agar aag hai wo pani hai
'bahr' ke shar se KHauf kar ai dil
(1099) Peoples Rate This