Mere Aage Tazkira Nashuq-o-ashiq Ka Bura
mere aage tazkira nashuq-o-ashiq ka bura
agli baaten mujh ko yaad aati hain ye charcha bura
na-gahani thi jo main aashiq hua ruswa hua
chahta hai koi duniya mein bhala apna bura
hai yahi surat to hum se raaz-poshi ho chuki
chashm tar lab KHushk chehra zard ye naqsha bura
hum gharibon se na puchho nemat-e-duniya ka haal
shukr kar ke kha liya jo kuchh mila achchha bura
ek bose par bhi mera dil na sahab ne liya
itni qimat par to achchha tha na itna tha bura
kar guzariye mere haq mein aap jo manzur ho
aae din ka marka har rose ka jhagDa bura
aadmi hota hai sargardan bagule ki tarah
aandhiyan achchhi hawa-o-hirs ka jhonka bura
aae jab wade ke shab mehndi laga baiTha wo shoKH
dusri raat istiKHara aane ko aaya bura
ban ke uD nagan moazzin ko Dase zulf-e-sanam
wasl ki shab ko azan-e-subh ka khaTka bura
aankh se dekhogi wo kuchh aabru ko roogi
jhank-tak achchhi nahin ai 'bahr' ye lapka bura
(1095) Peoples Rate This