Main Us But Ka Wasl Ai KHuda Chahta Hun
main us but ka wasl ai KHuda chahta hun
maraz ishq ka hai dawa chahta hun
bayan-e-malahat kiya chahta hun
suKHan mein namak ka maza chahta hun
na dekhun main us gul ke pahlu mein kanTa
uDe ghair aisi hua chahta hun
mujhe tasma-bandi ho ai zulf-e-pechan
faqir aaj-kal main hua chahta hun
lagi be-tarah hai KHuda hi bachae
sulagta hai dil mein jala chahta hun
bahut karwaTen lin nahin nind aati
baghal mein koi dilruba chahta hun
mohabbat mein ye aql zail hui hai
ki ahl-e-dagha se wafa chahta hun
khule haal-e-bimar chashm-e-suKHan-go
ishaaron mein baaten kiya chahta hun
bura man jaoge munh pher loge
na puchho qasam de ke kya chahta hun
nigahen ulajhti hain zulfon mein be-Dhab
un aankhon ke hathon phansa chahta hun
mah-e-nau ke misre mein misre lagaun
main itni tabiat-rasa chahta hun
hue chaara-ju kab mariz-e-mohabbat
KHuda maut de jo shifa chahta hun
wahi dushman-e-jaan hai ai 'bahr' mera
jise jaan se main siwa chahta hun
(902) Peoples Rate This