Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ba4c5a9c2e8f4e06defb115c36210bc5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Siyah-ru Apne Khaaliq Se Jo Neamat Mangta - Imdad Ali Bahr Poetry In English - Darsaal

Main Siyah-ru Apne Khaaliq Se Jo Neamat Mangta

main siyah-ru apne KHaliq se jo neamat mangta

apna munh dhone ko pahle aab-e-KHajlat mangta

mere rukhe-sukhe TukDe mujh ko kar dete hain ser

KHak bhar deta falak munh mein jo neamat mangta

KHalq par hoti jo aadab-e-shahadat aashkar

murgh-e-bismil bhi taDapne ki ijazat mangta

rahm ham-afat-rasidon par jo karta aasman

sans lene ki hujum-e-gham mein mohlat mangta

rolta moti jo karta kisht-kari KHair ki

hun barasta main agar baran-e-rahmat mangta

past-baKHti ne mujhe mahfuz rakkha shukr hai

TuT paDta aasman sar par jo rifat mangta

qadr mere gauhar-e-dil ki kuchh us but ne na ki

but-kada lilam hota main jo qimat mangta

ek bosa mangne par yar ka ruKH phir gaya

jaan main deta agar wo be-murawwat mangta

main agar aazadgi mein sarw ko karta murid

tera guldasta sa qad tuba se baiat mangta

dekh pata kushtagan-e-ishq ka rutba agar

pani pi pi kar KHizar jam-e-shahadat mangta

dil mein paDte zaKHm agar gulzar ki karta hawas

main lahu rota agar baran-e-rahmat mangta

kab raha simab jab simab chandi ho gaya

qalb mahiyyat meri hoti jo daulat mangta

kya KHabar thi subh ho jaegi tere nur se

sham se mera charagh-e-KHana ruKHsat mangta

aankh jhuk jati nazar aata agar tu KHwab mein

tere KHal-e-ruKH se yusuf dagh-e-hasrat mangta

khaiye kyunkar niwale motiyon ke ai hawas

tair-e-dil hans ki ai kash qismat mangta

josh-e-wahshat le chala itni na mohlat de mujhe

koh-o-sahra ke azizon se tu ruKHsat mangta

dushmani rakhta hai arbab-e-manash se aasman

hath malta umr-bhar dam-bhar jo rahat mangta

be diye mumkin nahin duniya mein ho ijra-e-kar

aamilon se ism-e-azam bhi hai dawat mangta

KHun-e-ashiq par kamar bandhe hue hain KHub-ru

tegh-e-misri halq par hoti jo sharbat mangta

kya KHabar thi aasiyon ki bhi dua maqbul hai

'bahr' duniya ke bakheDe se faraghat mangta

(1109) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Siyah-ru Apne Khaaliq Se Jo Neamat Mangta In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Main Siyah-ru Apne Khaaliq Se Jo Neamat Mangta is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Main Siyah-ru Apne Khaaliq Se Jo Neamat Mangta for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Main Siyah-ru Apne Khaaliq Se Jo Neamat Mangta in PDF.