Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a5c31878a2361bf44a05736d1cf49017, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHurshid-ruKHon Ka Samna Hai - Imdad Ali Bahr Poetry In English - Darsaal

KHurshid-ruKHon Ka Samna Hai

KHurshid-ruKHon ka samna hai

shabnam-sifat aabru hawa hai

dil zaKHmi-e-ishq hai saza hai

bhar dun jo namak to phir maza hai

ab to dil us par aa gaya hai

achchha hai bura hai ya bhala hai

bainnul-aad mein aadmi hai

duniya ek beach ki sira hai

aisi hai malahat us ke munh par

ruKHsar ka sabza lo naya hai

iksir hai dil ki KHaksari

kushta ho jo nafas-e-kimiya hai

munim na kar eatibar-e-daulat

iqbaal ka qalb la-baqa hai

wo dil na raha ja naz uThaun

main bhi hun KHafa jo wo KHafa hai

kam hai jo sitam ho tujh par ai dil

be-rahm se aur mil saza hai

dil tum ko to phir kisi din

pyar koi tum se bhi siwa hai

achchhi nahin ye KHalish raqibo

kanTe bo kar koi phala hai

hum dekhen maze raqib luTe

yun us se bhi to kya maza hai

dam sine se kyun nahin nikalta

kya jism-e-nazar KHar-e-pa hai

daulat se kabhi na ser honge

shahon ko faqir ki dua hai

chhupta nahin koi apne dil mein

aankhon mein wahi khaTak raha hai

is ranj mein bhi nibah denge

apna abhi itna hausla hai

ai 'bahr' ghazal kahi jo tum ne

ye tarz-e-kalam 'mir' ka hai

(866) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHurshid-ruKHon Ka Samna Hai In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. KHurshid-ruKHon Ka Samna Hai is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem KHurshid-ruKHon Ka Samna Hai for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download KHurshid-ruKHon Ka Samna Hai in PDF.