KHurshid Firaq Mein Tapan Hai
KHurshid firaq mein tapan hai
ai zarra-nawaz tu kahan hai
kyun rote hain dekh dekh kar hum
ye zulf-e-siyah hai ya dhuan hai
munh dekh raha hun aur chup hun
kya baat karun wo bad-zaban hai
ab minnat-e-baghban abas hai
patjhaD ke din aa gae KHizan hai
gulzar nahin maqam-e-ishrat
bulbul pe jafa-e-baghban hai
gul ko bhi hi kuchh gham-e-nihan ne
ghunche ki chaTak nahin fughan hai
gardun ne hi sab ko mar rakkha
jo zinda bhi hai wo nim-jaan hai
ye kahkashan nahin saron par
khinche hue tegh aasman hai
kya qais se multafit ho laila
nanga hai wo nang-e-KHandan hai
parwane se shama kya chhupegi
main bhi puchhunga tu jahan hai
dekha ai 'bahr' tera diwan
ek daftar-e-haal-e-ashiqan hai
(839) Peoples Rate This