KHub-ru Sab Hain Magar Hura-shamail Ek Hai
KHub-ru sab hain magar hura-shamail ek hai
aur mah-para hain lekin mah-e-kaamil ek hai
haq-taala us ke zulfon se bachae al-hazar
samna hai do balaon ka mera dil ek hai
kaun sa rahat-rasan mashuq hai aafaq mein
dusra bhi aafat-e-jaan hai jo qatil ek hai
main taDapta hun to kahte hain asiran-e-qafas
zaKHm-KHurda hum giraftaron mein bismil ek hai
jis ka ji chaha chala aaya baghair az ittilaa
aap ki sarkar mein bazar-o-mahfil ek hai
shama chalti hai to parwane bhi jal jate hain sath
wah kya in aashiq-o-mashuq ka dil ek hai
rind-o-zahid donon puchhenge barabar dekhna
tafarqe un mein dorahe tak hai manzil ek hai
us ki zulfon ka tasawwur hai jo har dam dil-nashin
main samajhta hun ki do laila hain mahmil ek hai
jo muarrif kaamilon ke thi agar hoti wo aaj
hum ko bhi kahte ye apni fan mein kaamil ek hai
'bahr' apni bhi fasahat jaante hain ahal-e-fahm
dusre hum hain agar sahban-o-il ek hai
(811) Peoples Rate This