Kabhi To Dekhe Hamari Araq-fishani Dhup
kabhi to dekhe hamari araq-fishani dhup
jale bhawon pe kare apni mehrbani dhup
hamare dagh ko jab aaftab ne dekha
hua ye zard nazar aae zafrani dhup
tap-e-firaq wo bad hai chaDhe jo suraj ko
pighal ke barf ki surat ho pani pani dhup
safar saqar hai hazaron balaen sar par hain
hai ek un mein se aaseb-e-asmani dhup
tah-e-sahab rahe aaftab-e-roz-e-firaq
shuaon se na kare mujh pe tegh-rani dhup
kaTe jo raat bhi zaKHmi-e-hijr ko to kya
hai mar Dalne ko chandni ki sani dhup
rahe shagufta hum is tarah jaise aag ke phul
kabhi na dasht-nawardi mein hum ne pani dhup
safed baal hue jaise tewar aate hain
bahut zaif ko dete hai sargirani dhup
hamein to fasl-e-zamistan bahut KHush aati hai
wo ThanDi ThanDi hawa aur wo suhani dhup
lagae abr ka lukka na kis tarah chhatri
kare na chand se rangat ko aasmani dhup
ajab nahin gul-e-ruKHsar sausani ho jaen
bahaar-e-husn ko hai aafat-e-KHizani dhup
amir shaal-doshaalon mein garm rahat-o-aish
gharib ke liye jaDon mein zindagani dhup
zara si garm hawa mein ye munh banati hain
na kar sakegi gulon ki mizaj-dani dhup
muwafaqat na kabhi sard-o-garm mein hogi
hai chandni meri piri teri jawani dhup
shabab yaad dilate hai sar-safedi-e-'bahr'
hai aaftab-e-jawani ki ye nishani dhup
(1118) Peoples Rate This