Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ef59e8d113f91254c26e053dc231b6eb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kabhi Dekhen Jo Ru-e-yar DaraKHt - Imdad Ali Bahr Poetry In English - Darsaal

Kabhi Dekhen Jo Ru-e-yar DaraKHt

kabhi dekhen jo ru-e-yar daraKHt

apne phulon ko samjhen KHar daraKHt

chaar-su hai inhen ka likh piDa

ye anasir ke hain jo chaar daraKHt

mere gulzar mein hain shoale phul

mere har aah shoala-bar daraKHt

sau fasad ek ishq mein uTThe

boya ek tuKHm uge hazar daraKHt

jab chala bagh se wo sarw-e-rawan

ho gae taeron ko dar daraKHt

jis ko tuba zamana kahta hai

tere ghar mein hai saya-dar daraKHt

tu KHizan mein jo sair ko nikle

mere ho jaen be-bahaar daraKHt

phal na laya nihaal-e-ishq apna

phale-phule hazar bar daraKHt

'bahr' kya nashshe mein KHush aate hain

nahr-e-gulshan ke dar par daraKHt

(922) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Dekhen Jo Ru-e-yar DaraKHt In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Kabhi Dekhen Jo Ru-e-yar DaraKHt is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Kabhi Dekhen Jo Ru-e-yar DaraKHt for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Kabhi Dekhen Jo Ru-e-yar DaraKHt in PDF.