Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0af8a3b36d147cc59346ed9361212da8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jate Hai KHanqah Se Waiz Salam Hai - Imdad Ali Bahr Poetry In English - Darsaal

Jate Hai KHanqah Se Waiz Salam Hai

jate hai KHanqah se waiz salam hai

hum dair se chale sanam ab ram ram hai

surat wo sanwli ki kanhayya ghulam hai

mere sanam se KHub-tar allah ka nam hai

dar-pesh hai wo manzil-e-na-taqati hamein

uTThe jo ham-safar hai jo baiThe maqam hai

sayyaad hi bahaar ke parde mein bulbulo

har ghuncha hai qafas rag-e-gul tar-e-ram hai

kyun kar na meri yaad faramosh ho use

samjha hai yar nang jise mera nam hai

mera lahu chaTaega jab tak na tegh ko

qatil ko dahne hath ka khana haram hai

saqi se ho jo dil-shikani bhi to lutf hai

TuTa jo shisha meri baghal ka to jam hai

fasl-e-bahaar baat ki baat is chaman mein hai

aawaz-e-ghuncha ruKHsat-e-gul ka payam hai

masti Tapak rahi hai yahan baal baal se

tan mein lahu nahin ye mai-e-lal-fam hai

tahrir-e-haal ki kise taqat hai nama-bar

hai jaan honTon par ye zabani payam hai

wo mah-ru chhupa hai mahaq-e-hijab mein

aashiq ke zindagi ka mahina tamam hai

samjhe rahen bahut mere kam-maegi harif

qatra wo hun ki aaj mera 'bahr' nam hai

(1025) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jate Hai KHanqah Se Waiz Salam Hai In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Jate Hai KHanqah Se Waiz Salam Hai is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Jate Hai KHanqah Se Waiz Salam Hai for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Jate Hai KHanqah Se Waiz Salam Hai in PDF.