Jalwa-e-arbab-e-duniya Dekhiye
jalwa-e-arbab-e-duniya dekhiye
swang hai ye bhi tamasha dekhiye
sair ko uTThe to hain wahshi mizaj
bagh jate hain ki sahra dekhiye
gar-che til hai us ke munh par KHushnuma
nahs hai kya ek tara dekhiye
roiye jitna rulae hijr-e-yar
ghar mein baiThe sair-e-dariya dekhiye
charKH-e-minai muafiq ho agar
dur-daur-e-jam-e-sahba dekhiye
ya-ilahi KHair phir aae bahaar
kya harara lae sauda dekhiye
kal jo kuchh surat hui thi miT gai
aur hi hai aaj naqsha dekhiye
abruon mein phir girah paDne lagi
bal tabiat mein phir aaya dekhiye
dardmand-e-chashm hain darman-talab
dekhte bhi hain masiha dekhiye
intizar-e-yar kahta hai yahi
zindagi jab tak hai rasta dekhiye
wasl sabit hai tafadil se magar
kab wo aata hai zamana dekhiye
kya bala-e-bad hai ye baad-e-KHizan
ho gai sab phul patta dekhiye
bazm-e-na0-pursan mein qismat lai hai
baiThiye apni agar ja dekhiye
'bahr' agar chamka sitara aish ka
laili-e-gardun ka mujra dekhiye
(855) Peoples Rate This