Jab Dast-basta Ki Nahin Uqda-kusha Namaz
jab dast-basta ki nahin uqda-kusha namaz
kaTegi meri panw ki zanjir kya namaz
bandon ka to ye haal hai leti nahin salam
kyun kar kahun qubul karega KHuda namaz
bu-e-riya har ek gul-e-boriya mein hai
duniya ki ghar ka farsh hai zahid ki ja-namaz
roza hamari faqa-kashi ka namuna hai
apni farotani ka hi ek partawa namaz
fariyaad kar raha hun do-waqti azan nahin
taklif mujh ko deti hain subh-o-masa namaz
mina-e-mai imam ho mamum rind hon
hasrat hai panch waqt ki ho yun ada namaz
sare nuqush sangi-e-gul-ha-e-bagh-e-KHuld
jis boriye pe main ne paDhi be-riya namaz
masti mein laghzish apni ruku-o-sujud hai
nikle jo mai-kade se to hogi qaza namaz
jate hain girte paDte hue rah-e-shauq mein
kya jaanen hum tariq hai kya aur kya namaz
la-taqrabussalat isi amr par hai nahin
pi kar mai-e-ghurur na paDh waiza namaz
allah de jo niyyat-e-KHalis huzur-e-qalb
phir arsh sajda-gah hai kursi hai ja-namaz
har dam jihad-e-nafs mein takbir hai buland
sar par hai tegh-e-jabr magar hai bapa namaz
daman-e-tar ki lo KHabar ai zahidan-e-KHushk
is jama-e-najis se nahin hai rawa namaz
hai iztirab faqe mein uTh baiTh bahr-e-qut
zahid kuja o roza kuja o kuja namaz
tir-o-kaman hain us ke qiyam-o-rukua 'bahr'
ek din uDaegi hadaf-e-muddaa namaz
(1011) Peoples Rate This