Is Tarah Zist Basar Ki Koi Pursan Na Hua
is tarah zist basar ki koi pursan na hua
yun main duniya se uTha dagh-e-azizan na hua
mustaqil waza rahi kuchh gham-e-dauran na hua
aandhiyon mein bhi ghubar apna pareshan na hua
waza par harf na aai diya wahshat mein bhi
lafz-o-mani ki tarah main kabhi uryan na hua
war kya kya na sahe tegh hawadis ki magar
aise bashshash rahe zaKHm bhi giryan na hua
bujh gaya dil ka kanwal dagh se jalte jalte
gul kisi shab ye charagh-e-shab-e-hijran na hua
samna aise balaon ka raha duniya mein
malak-ul-maut bhi aae to hirasan na hua
eDiyan main ne ye ragDin ki gaDhe Dal diye
gorkan ka bhi main sharminda-e-ehsan na hua
misl-e-nai nala-kashi mein meri guzri guzre
dil mein nasur to ye hai koi pursan na hua
abru jati agar be-asar aansu bahte
shukr angusht-numa panja-e-mizhgan na hua
ulfat abru-e-sanam ki hui patthar ki lakir
mahw-e-dil se KHat-e-qismat kisi unwan na hua
munharif kyun ruKH-e-mahbub se hai ai waiz
tu musalman hua qail-e-quran na hua
dil se na-chiz zamane mein koi chiz nahin
mol kya muft bhi jis ka koi KHwahan na hua
hum bhi to dekhte kis tarah nikalte gir kar
chah-e-yusuf ye tera chah-e-zanaKHdan na hua
kapDe phaDe se bhi nikle na hararat dil ki
rishta-e-shama koi tar-e-gareban na hua
nala karne ko bhi munh chahiye al-qais-e-hazin
koi zangula-e-jammaza hudi-KHwan na hua
sufla-o-dun na kabhi raunaq-e-mahfil honge
jugnu din se kabhi aalam mein charaghan na hua
ai junun nikle na ek dagh se hasrat dil ki
dagh mujh ko hai ki taus-e-gulistan na hua
hae shangarf hai likkhe ki lab-e-lalin hai
baat ye puchhte yaqut raqam-KHan na hua
koi laDka na dam-e-qaid hua daman-gir
koi patthar mujhe sang-e-rah-e-zindan na hua
ai junun kuchh na mila aabla-pai ka maza
gokharo panw mein kyun KHar-e-mughilan na hua
kya faromaya baDhega use himmat kya hai
'bahr' dariya ka kabhi chah mein tughyan na hua
(1156) Peoples Rate This