Ifsha Hue Asrar-e-junun Jama-dari Se
ifsha hue asrar-e-junun jama-dari se
chhape gae aKHbar meri be-KHabari se
dam nak mein aaya hai ab is nauhagari se
dil pak gaya ai aah teri be-asari se
kya din hain jo gul khilte hain shoale hain dahakte
lu chalti hai baghon mein nasim-e-sahari se
sone ke niwalon se na kar parwarish-e-ruh
itni bhi mohabbat nahin karte safari se
kab ahl-e-duwal se hui mabud-parasti
baatil hai agar sajda karen taj-e-zari se
har haal mein rahti hai KHuda par nazar apni
ye martaba hasil hai hamein be-hunari se
maghrur na ho chand se ruKHsar par apne
ye qumquma raushan hai charagh-e-sahari se
tu wo hai shah-e-husn agar baj talab ho
le hur se guldasta tabaq shah-e-pari se
munh chaDhte hain bad-asl tamiz un ko nahin hai
danton se laDi silk-e-guhar bad-guhari se
aankhon se nikalwaiye aankhen hirnon ki
chiton ki kamar toDiye nazuk-kamari se
naubat to kahin qatl-e-gunahgar ki aai
naqqare bajaunga mein tiron ki sari se
pusht-e-lab-e-shaffaf se joban hai mison ka
sabze ne numu ki hai aqiq-e-shajari se
piri mein bhi hum se na hui KHana-nashini
baz aae na bazmon se na guzre guzri se
qad tir sa talwar tawazoa se hua hai
wo hath uThate nahin be-dad-gari se
jab chaho chale aao ye wada nahin achchha
dil aankh churaata hai bahut muntazari se
ab zof-e-junun kucha-e-jaanan mein baha de
kab tak ye waram panw par aashufta-sari se
wo choT kaleje mein lagi hai ki na puchho
taDpunga tah-e-KHak bhi dard-e-jigari se
rone ka na le nam gham-e-yar mein ai 'bahr'
ulTe na zamane ka waraq lab ki tari se
(1601) Peoples Rate This