Hum Na-qishon Ke Daur Mein Kaamil Hue To Kya
hum na-qishon ke daur mein kaamil hue to kya
ujDe hue ilaqe ke aamil hue to kya
hum ko to iftiKHar hai paigham-e-yar par
jibril aasman se nazil hue to kya
muddat se phir rahi hai chhuri jaan-e-zar par
hum aaj tegh-e-yar se bismil hue to kya
daghon mein us ke dagh-e-mohabbat ki bu kahan
lale ke phul hum se muqabil hue to kya
rahat nasib hum ko hui rahmat ai karim
Takra ke sar bahisht mein daKHil hue to kya
phulon mein zar luTa na gul-e-surKH ka kabhi
be-faiz log raunaq-e-mahfil hue to kya
us ki sifat yahi hai ki be-mange di murad
dargah mein karim ke sail hue to kya
aasan hain jo naKHun-e-taqdir tez hai
matlab hamare uqda-e-mushkil hue to kya
murdon ko zinda kijiye nam-awari ye hai
isa banao aap ko qatil hue to kya
har-dam charagh-e-dil ki idhar lau lagi rahe
hum apni yaadgar se ghafil hue to kya
hoga na ek rang KHizan-o-bahaar ka
buDhe agar jawanon ke shamil hue to kya
apne maal-e-kar se jab be-KHabar hue
hafiz hue to KHak jo fasil hue to kya
tan se mafariqat nahin karti tab-e-firaq
tawiz bhi gale mein hamail hue to kya
ai 'bahr' baghban ki minnat bala kare
do-chaar phul bagh se hasil hue to kya
(949) Peoples Rate This