Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4bf75ab5ec008d7a3bb98f6ef4f10b25, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ham-zad Hai Gham Apna Shadan Kise Kahte Hain - Imdad Ali Bahr Poetry In English - Darsaal

Ham-zad Hai Gham Apna Shadan Kise Kahte Hain

ham-zad hai gham apna shadan kise kahte hain

waqif nahin ishrat ka saman kise kahte hain

bimar-e-mohabbat hain hum tarik-e-rahat hain

na-waqif-e-sehat hain darman kise kahte hain

muddat se ye saman hai tan shoala-e-uryan hai

kya chiz gareban hai daman kise kahte hain

mathe pe pasina hai qudrat ka tamasha hai

taron ki jhamak kya hai afshan kise kahte hain

dil de ke jafa sahiye aafat mein phanse rahiye

dana jo hamein kahiye nadan kise kahte hain

jab yar ne dekha hai ek zaKHm lagaya hai

sau tiron ka dasta hai mizhgan kise kahte hain

us turk ki palkon se mahfuz KHuda rakkhe

bar kaTte hain tiron ki paikan kise kahte hain

dil ki jo zaraat hai KHar-o-KHas-e-zahmat se

ek qatre ki hasrat hai baran kise kahte hain

sach kahte hain ye zirak hai ishq-e-junun be-shak

waqif na the hum gul tak zindan kise kahte hain

har-waqt hai be-zari har dam hai jafakari

dil-jui-o-dildari-e-jaanan kise kahte hain

ruKHsar ka shaida hun kya gul ko samajhta hun

mahw-e-KHat-e-zeba hun raihan kise kahte hain

muddat se hai dil barham sohbat se nahin mahram

aazad hain ghar se hum mehman kise kahte hain

jate hain kabhi dargah shiwale mein bhi hai rah

mazhab se nahin aagah iman kise kahte hain

haidar se tawalla hai rahmat ka bharosa hai

ai 'bahr' KHata kya hai isyan kise kahte hain

(967) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ham-zad Hai Gham Apna Shadan Kise Kahte Hain In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Ham-zad Hai Gham Apna Shadan Kise Kahte Hain is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Ham-zad Hai Gham Apna Shadan Kise Kahte Hain for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Ham-zad Hai Gham Apna Shadan Kise Kahte Hain in PDF.