Gardish-e-charKH Se Qayam Nahin
gardish-e-charKH se qayam nahin
subh ghar mein hun main to sham nahin
kabhi to munh se boliye sahab
be-dahan ho to kuchh kalam nahin
jaan-ba-lab hun firaq-dil-bar mein
subh jita raha to sham nahin
kis ke zulfon ke baal bikhre hain
mere nabzon mein intizam nahin
roz-o-shab zikr-e-zulf-o-arif hai
ye kahani kabhi tamam nahin
kya raqibon se main jihad karun
mere hamrah wo imam nahin
tera diwana mar gaya shayad
aaj galiyon mein azhdaham nahin
hijr mein ye sharab hai tezab
hath par aabla hai jam nahin
kya samajh kar ye naz karte hain
amradon ka koi ghulam nahin
walwale the shabab tak apne
ab hamari wo dhum-dham nahin
is taraf se hain sajde par sajde
us taraf se kabhi salam nahin
dil ko le kar alag hue aise
ki kabhi tum ko hum se kaam nahin
mauj dariya-e-paemali hai
us jafakar ka KHiram nahin
bosa le kar maza mila mujh ko
hanzal us ka zaqan hai aam nahin
kis ke bal par wo shoKH hai maghrur
KHat-e-shab-rang fauj-e-sham nahin
'bahr' bahke hue hain ahl-e-dil
nashsha-e-ab-e-zar mudam nahin
(823) Peoples Rate This